har gumbad-e-be-dar meñ bhī ik dar hai ki tū hai
phir mujh meñ koī aur navā-gar hai ki tū hai
ik aur hī aalam hai varā-e-ḳhas-o-ḳhāshāk
ik aur hī manzar pas-e-manzar hai ki tū hai
tā-hadd-e-nazar ek nadī hai ki huuñ maiñ bhī
tā-hadd-e-ḳhayāl ek samundar hai ki tū hai
paivast haiñ miTTī meñ mire paañv ki maiñ huuñ
aflāk ke siine pe mirā sar hai ki tū hai
vahshat ise kahiye na tahayyur ise kahiye
maiñ bhuul chalā thā mujhe azbar hai ki tū hai
dekhūñ to tirā honā sahārā bhī hai mujh ko
sochoñ to mujhe ek yahī Dar hai ki tū hai