muneer saifi

lahu ka zaiqa hi jab zaban tak na gaya

muneer saifi

Amritsar, Punjab, India

1940-2011
lahū kā zā.iqa hī jab zabān tak na gayā
to kyā ajab hai jo zaḳhmoñ pe dhyān tak na gayā
vo ek vahm jo sarmāya-e-faqīrī thā
yaqīñ meñ is tarah badlā gumān tak na gayā
badal ga.ī kahīñ raste meñ kīmiyā us kī
uThā ġhubār magar āsmān tak na gayā
anā-parast the aise badan to phir hai badan
hamārā saaya kabhī sā.ebān tak na gayā
batā ke rah ga.e sab dāv-pech sāhil se
havā ke saath koī bādbān tak na gayā
ḳhudā kā shukr ki mere hī jurm kaafī the
faqīh-e-shahr mire ḳhāndān tak na gayā
hamāre tiir chhupā.e nahīñ ga.e the 'munīr'
hamārā haat hī apnī kamān tak na gayā
Top Urdushayar.com