ek tamāshā aur dikhāyā jā saktā thā
mujh ko zinda bhī dafnāyā jā saktā thā
chiḌiyoñ kī āvāz na kānoñ tak aa saktī
ghar meñ itnā shor machāyā jā saktā thā
jab tak barf pighaltī yā barkhā rut aatī
dariyā aur bhī kaam meñ laayā jā saktā thā
tum ne apnā rasta ḳhud rokā thā varna
tum jab aanā chāhte aayā jā saktā thā
chhoTī chhoTī ḳhushiyāñ bāñTī jā saktī thiiñ
hañste hañste ġham apnāyā jā saktā thā
kitnā hī masrūf thā phir bhī apnī ḳhātir
thoḌā sā to vaqt bachāyā jā saktā thā
jitne vaqt meñ tum ne ghar ābād kiyā hai
utne vaqt meñ shahr basāyā jā saktā thā
gardan meñ bal aanā hī thā phir bhī 'saifī'
bojh zarā sā aur uThāyā jā saktā thā