kis manzar meñ kaise manzar ug aate haiñ
ḳhvāb ugānā chāhūñ patthar ug aate haiñ
ye nā-mumkin hai phir bhī lagtā hai jaise
qaid meñ vaqt se pahle hī par ug aate haiñ
mausam kā e.ajāz hai yā jaadū hai koī
rātoñ-rāt daraḳhtoñ par ghar ug aate haiñ
puure chāñd kī raat samundar narm havā.eñ
sat.h-e-āb pe kyā kyā paikar ug aate haiñ
ishq meñ qāmat kā yuuñ dhyān rakhā jaatā hai
gardan kaT jaatī hai to sar ug aate haiñ
us ke naam kā naqqārā bajte hī 'saifī'
chāroñ-jānib dard ke lashkar ug aate haiñ