Naji Shakir

tere bhai ko chaha ab teri karta hun pa-bosi

Naji Shakir

1690-1744
tere bhaa.ī ko chāhā ab terī kartā huuñ pā-bosī
mujhe sartāj kar rakh jaan meñ āshiq huuñ maurūsī
rafū kar de haiñ aisā pyaar jo āshiq haiñ yaksū siiñ
phaḌā kar aur siiñ shaal apnī kahtā hai mujhe tū sī
huā maḳhfī mazā ab shāhidī siiñ shahad kī zāhir
magar zambūr ne shīrīnī un hoñToñ kī jā chūsī
kise ye taab jo us kī tajallī meñ rahe Thahrā
rumūz-e-taur laatī hai sajan terī kamar mū sī
samātā na.iiñ izaar apne meñ abtar dekh rañg us kā
kare kim-ḳhvāb so jaane kī yuuñ paate haiñ jāsūsī
ba-rañg-e-sham.a kyuuñ yāqūb kī āñkheñ nahīñ raushan
zamāne meñ sunā yūsuf kā pairāhan thā fānūsī
na chhoḌūñ us lab-e-irfāñ ko 'nājī' aur luTā duuñ sab
mile gar mujh ko mulk-e-ḳhusravī aur tāj-e-kā.ūsī
Top Urdushayar.com