Naji Shakir

kamar ki baat sunte hain ye kuchh pai nahin jati

Naji Shakir

1690-1744
kamar kī baat sunte haiñ ye kuchh paa.ī nahīñ jaatī
kahe haiñ baat aisī ḳhayāl meñ mere nahīñ aatī
jo chāho sair-e-dariyā vaqf hai mujh chashm kī kashtī
har ek mū-e-palak merā hai goyā ghaaT ḳhairātī
ba-rañg us ke nahīñ mahbūb dil rone ko āshiq ke
sa.ādat ḳhaañ hai laḌkā vaz.a kar letā hai barsātī
jo koī aslī hai ThanDā garm yāqūtī meñ kyūñkar ho
na laave taab tere lab kī jo nāmard hai zaatī
na dekhā baaġh meñ nargis niiñ tujh kuuñ sharm jaane siiñ
isī ġham meñ huī hai sar-nigūñ vo vaqt nahīñ paatī
kahāñ mumkin hai 'nājī' sā ki taqvā aur salāh aave
nigāh-e-mast-e-ḳhūbāñ vo nahīñ letā ḳharābātī
Top Urdushayar.com