Naji Shakir

dekh mohan teri kamar ki taraf

Naji Shakir

1690-1744
dekh mohan tirī kamar kī taraf
phir gayā maanī apne ghar kī taraf
jin ne dekhe tire lab-e-shīrīñ
nazar us kī nahīñ shakar kī taraf
hai muhāl un kā daam meñ aanā
dil hai maa.il butāñ kā zar kī taraf
tere ruḳhsār kī safā.ī dekh
chashm daanā kī na.iiñ guhar kī taraf
haiñ ḳhushāmad-talab sab ahl-e-duval
ġhaur karte na.iiñ hunar kī taraf
māh-rū ne safar kiyā hai jidhar
dil mirā hai usī nagar kī taraf
hashr meñ pāk-bāz hai 'nājī'
bad-amal jā.eñge saqar kī taraf
Top Urdushayar.com