Naji Shakir

ye daur guzra kabhi na dekhin piya ki ankhiyan KHumar-matiyan

Naji Shakir

1690-1744
ye daur guzrā kabhī na dekhīñ piyā kī añkhiyāñ ḳhumār-matiyāñ
kahe the mardum sharābī un kuuñ nikal ga.iiñ apnī de ġhalatiyāñ
sivā.e gul ke vo shoḳh añkhiyāñ kisī taraf ko nahīñ haiñ rāġhib
to barg-e-nargis upar bajā hai likhūñ jo apne sajan kuuñ patiyāñ
sanam kī zulfāñ ko hijr meñ ab ga.e haiñ mujh nain haiñ ḳhvāb rāhat
lage hai kāñTā nazar meñ sonā kaTeñgī kaise ye kaalī ratiyāñ
jo sham.a-rū ke do lab haiñ shīrīñ to sabza-e-ḳhat bajā hai us par
zamīn pakḌī hai tūtiyoñ ne sunīñ jo mīThī piyā kī batiyāñ
ḳhayāl kar kar bhaTak rahā huuñ nazar jo aa.e tevar haiñ bāñke
banāo bantā nahīñ hai 'nājī' jo us sajan ko lagā.ūñ chhatiyāñ
Top Urdushayar.com