mah-ruḳhāñ kī jo mehrbānī hai
ye madad mujh pe āsmānī hai
rashk siiñ us ke saaf chehre ke
chashm par aa.ine kī paanī hai
daam meñ bul-havas ke aayā na.iiñ
kyuuñ ki ye baaz āshyānī hai
charb hai sham.a par jamāl us kā
sham.a kī raushnī zabānī hai
us ke ruḳhsār dekh jiitā huuñ
aarzī merī zindagānī hai
sirf sūrat kā band na.iiñ 'nājī'
āshiq-e-sāhab-e-ma.ānī hai