zikr har sub.h o shaam hai terā
vird-e-āshiq kuuñ naam hai terā
mat kar āzād dām-e-zulf siiñ dil
bāl-bāñdhā ġhulām hai terā
lashkar-e-ġham ne dil siiñ kuuch kiyā
jab se is meñ maqām hai terā
jām-e-mai kā pilānā hai be-rañg
shauq jin kuuñ mudām hai terā
aaj 'nājī' se ram na kar ai shoḳh
dekh muddat siiñ raam hai terā