tere shaidā bhī hue ishq-e-tamāshā bhī hue
tere dīvāne tire shahr meñ rusvā bhī hue
zulf to zulf hai duniyā se bhī uljhe haiñ ki ham
ik bagūlā bhī bane hāmil-e-sahrā bhī hue
tum to sun paa.e na āvāz-e-shikast-e-dil bhī
kuchh hamīñ the ki harīf-e-ġham-e-duniyā bhī hue
ham faqirān-e-mohabbat ke ajab tevar haiñ
razm-e-ka.aba bhī bane bazm-e-kalīsā bhī hue
miT ke ham ḳhaak hue ḳhāk-e-rah-e-kū-e-butāñ
ban ke ham hāsil-e-sad-bazm-e-tajallī bhī hue
pesh-e-ḳhurshīd-e-ruḳhāñ zarra-e-nāchīz rahe
aur ham rū-kash-e-husn-e-ruḳh-e-zebā bhī hue
zīnat-e-mahfil-e-sad-zohrā-jabīnāñ hue ham
haañ magar ye ki bharī bazm meñ tanhā bhī hue
yuuñ to 'bāqar' bhī rahe ḳhāk-nashīnoñ meñ tire
ye alag baat tire lutf se yaktā bhī hue