Sajjad Baqar Rizvi

galiyan jhakin saDken chhanin dil ki wahshat kam na hui

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
galiyāñ jhākīñ saḌkeñ chhānīñ dil kī vahshat kam na huī
aañkh se kitnā laavā ublā tan kī hiddat kam na huī
Dhab se pyaar kiyā hai ham ne us ke naam pe chup na hue
shahr ke izzat-dāroñ meñ kuchh apnī izzat kam na huī
man dhan sab qurbān kiyā ab sar kā saudā baaqī hai
ham to bike the aune-paune pyaar kī qīmat kam na huī
jin ne ujāḌī dil kī khetī un kī zamīneñ ḳhatm huiiñ
ham to ra.iis the shahr-e-vafā ke apnī riyāsat kam na huī
ab bhī itnā tar-o-tāza hai jaise avval din kā ho
vaah re apnī kāvish-e-nāḳhun zaḳhm kī lazzat kam na huī
bāqar' ko tum ḳhuub samajh lo ranjish hai ye dikhāve kī
yuuñ tum se be-zār phire hai dil se chāhat kam na huī
Top Urdushayar.com