Sajjad Baqar Rizvi

yahi sunte aae hain ham-nashin kabhi ahd-e-shuq-e-kamal mein

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
yahī sunte aa.e haiñ ham-nashīñ kabhī ahd-e-shuq-e-kamāl meñ
koī shahr shahr-e-vafā bhī thā usī sar-zamīn-e-ḳhayāl meñ
mire dil ke ḳhuun kī misl thā tujhe yaad hai mire dilrubā
koī rañg rañg-e-hinā bhī thā tire naqsh-hā-e-jamāl meñ
na vo jhāñknā hai galī galī na vo tāknā hai kalī kalī
na kasak hai hijr ke dard meñ na damak hai shauq-e-visāl meñ
koī ik chamak mire dil ko de ki safar hudūd-e-zamāñ kā hai
koī ek sā.at-e-raushnī mirī gardish-e-mah-o-sāl meñ
mujhe sharq-o-ġharb se kaam kyā ki maqām-e-shauq guzar gayā
ye khilā.e dil ke haiñ dā.ere ye safar hai ab mirā haal meñ
vo jo rāh-e-zulm pe āñdhiyoñ meñ charāġh le ke nikal paḌe
vo zavāl-e-asr ke sar-buland kahāñ haiñ asr-e-zavāl meñ
ye jo tīrgī kā tilism hai yahī raushnī kā bhī ism hai
huā 'bāqar' aap ke qaul kā bhī shumār qaul-e-muhāl hai
Top Urdushayar.com