sho.ala sā koī barq-e-nazar se nahīñ uThtā
ab koī dhuāñ dil ke nagar se nahīñ uThtā
vo raunaq-e-kāshāna-e-dil bujh sī ga.ī hai
ab shor koī is bhare ghar se nahīñ uThtā
kab tāqat-e-shorīda-sarī sar ko jo Takrā.eñ
vo zo.af hai ab sar tire dar se nahīñ uThtā
is jumbish-e-mizhgāñ kā huuñ sharminda-e-ehsāñ
ye bār-e-garāñ apnī nazar se nahīñ uThtā
labbaik kahe nāqa-e-lailā ko bhalā kaun
ab qais koī gard-e-safar se nahīñ uThtā
tabdīl huī āb-o-havā shahr-e-vafā kī
ab dard kā tūfān idhar se nahīñ uThtā
yuuñ rāh-e-talab detī hai āvāz hameñ bhī
ab paañv kisī baat ke Dar se nahīñ uThtā
dīvāne ko niiñd aa ga.ī tārīki-e-shab meñ
soyā hai to ab ḳhauf-e-sahar se nahīñ uThtā
yaaro use dekho kahīñ 'bāqar' to nahīñ hai
pahroñ jo kisī rāhguzar se nahīñ uThtā