Sajjad Baqar Rizvi

dil ki bisat pe shah payaade kitni bar utaroge

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
dil kī bisāt pe shaah payāde kitnī baar utāroge
is bastī meñ sab shātir haiñ tum har baazī hāroge
prem-pujārī mandir mandir dil kī kathā kyuuñ gaate ho
but saare patthar haiñ pyāre sar patthar se māroge
dil meñ khīñch ke us kī sūrat aaj to ḳhush ḳhush aa.e ho
kal se us meñ rañg bharoge kal se naqsh ubhāroge
saare din to us kī galī meñ aate jaate guzrī hai
ab bolo ab raat huī hai kaise raat guzāroge
pyaar kī āñkheñ muñd jā.eñgī dil kā diyā bujh jā.egā
kab tak lahū jalāo.ge tum kab tak kājal pāroge
jis ko daatā maan ke tum ne bhiik lagan kī māñgī hai
us ne bhī jo salām kiyā to dāman kahāñ pasāroge
'bāqar' sāhab mahā kavī ho baḌe gurū kahlāte ho
apnā dukh-sukh bhuul ga.e to kis kā ḳhaal sañvāroge
kalī kalī ashkoñ kī laḌiyāñ phuul phuul ye komal giit
kis kī sej sajā.ī 'bāqar' kis kā ruup nikhāroge
Top Urdushayar.com