ab ke qimār-e-ishq bhī Thahrā ek hunar dānā.ī kā
shauq bhī thā is khel kā ham ko ḳhauf bhī thā rusvā.ī kā
bas vahī ik be-kaif udāsī bas vahī banjar sannāTā
sau sau rañg milan ke dekhe ek hī rañg judā.ī kā
pyaar kī jañg meñ yaaro ham ne do hī ḳhadshe dekhe haiñ
pahle-pahal thā ḳhauf-e-asīrī ab hai ḳhauf rihā.ī kā
apnī havā meñ yuuñ phirtā thā jaise bagūla sahrā meñ
ham ne jab dekhā to ajab thā haal tire saudā.ī kā
ajnabī chehre takte rahnā shahr kī chaltī rāhoñ par
apnī samajh meñ ab aayā hai ye pahlū tanhā.ī kā
āñkheñ apnī band thiiñ jab tak haal pe apne ro.e bahut
aañkh khulī to dekhā haal yahī thā saarī ḳhudā.ī kā
dil kī zamīñ par bo.e the 'bāqar' biij jo dard judā.ī ke
chaliye ab vo fasl khaḌī hai vaqt aayā hai kaTā.ī kā