maiñ ham-nafasāñ jism huuñ vo jaañ kī tarah thā
maiñ dard huuñ vo dard ke unvāñ kī tarah thā
jis ke liye ik umr kueñ jhāñkte guzrī
vo māh-e-karachi mah-e-kan.āñ kī tarah thā
tū kaun thā kyā thā ki baras guzre par ab bhī
mahsūs ye hotā hai rag-e-jāñ kī tarah thā
jis ke liye kāñTā sā chubhā kartā thā dil meñ
pahlū meñ vo aayā to gulistāñ kī tarah thā
ik umr ulajhtā rahā duniyā kī havā se
kyā maiñ bhī tere kākul-e-pechāñ kī tarah thā
kuchh umr-e-gurezāñ se mire haath na aayā
har lamha tire gosha-e-dāmāñ kī tarah thā
Duube se kahāñ pyaas bujhī ahl-e-talab kī
maiñ vādī-e-gul meñ bhī bayābāñ kī tarah thā
jiinā to ġhazab hai magar ai umr ajab hai
tujh ko to ḳhabar hai vo mirī jaañ kī tarah thā
ai raat ke añdhiyāre meñ jaage hue lamho
DhūñDo use vo ḳhvāb-e-pareshāñ kī tarah thā
miTTī ko yahāñ paañv pakaḌnā nahīñ aatā
maiñ shahr meñ bhī gard ke tūfāñ kī tarah thā
lo harf-e-ġhazal ban ke numāyāñ huā 'bāqar'
kal ramz sifat ma.anī-e-pinhāñ kī tarah thā