hameñ chaar samt kī dauḌ meñ vahī gard-e-bād-e-sadā milā
bane apnī zaat meñ guuñj ham na ḳhudī milī na ḳhudā milā
kabhī shahr shahr ḳhirad phirī kabhī dasht dasht junūñ gayā
mirī zindagī mujhe kuchh batā tujhe kyā milā mujhe kyā milā
use DhūñDte the jo kū-ba-kū vo safar kī gard meñ aT ga.e
kise rāh-e-nik.hat-e-gul milī kise naqsh-e-pā-e-sabā milā
sar-e-sat.h-e-reg likhī huī koī dāstān-e-junūñ milī
sar-e-lauh-e-āb banā huā koī naqsh-e-kār-e-vafā milā
kise haal apnā sunā.eñ ham kise shauq apnā batā.eñ ham
koī ham-safar hai zamīn kā koī ham-rikāb-e-havā milā
kabhī koī aañkh to bhīgtī kabhī koī dil to pasījtā
mire shauq-e-tāza-navā.ī ko ye navā-garī kā salā milā
mirī band aañkh pe vā hue ka.ī dar tilism-e-ḳhayāl ke
mujhe niiñd aa.e to kis tarah mujhe ḳhvāb-e-ahd-fazā milā
maiñ shajar huuñ mausam-e-dard kā yahī rut hai mere liye sadā
kabhī shāḳh shāḳh harī milī kabhī barg barg judā milā
yahī raushnī mire haath hai yahī tāzgī mire saath hai
kabhī koī daaġh chamak uThā kabhī koī zaḳhm nayā milā
maiñ chalā thā shahr kī raah se magar apnī zaat meñ gum huā
mujhe 'bāqar' apnī talāsh thī mujhe aaj apnā patā milā