kam-zarf bhī hai pī ke bahaktā bhī bahut hai
bhartā bhī nahīñ aur chhalaktā bhī bahut hai
allāh kī marzī kā to saḳhtī se hai pāband
hākim kī razā ho to lachaktā bhī bahut hai
kotāh-qadī kahtī hai khaTTe haiñ ye añgūr
lekin gah-o-be-gāh lapaktā bhī bahut hai
parvā hai na kuchh taal kī ne sur kī ḳhabar hai
par saaz pe duniyā ke maTaktā bhī bahut hai
shorīdgī baḌhtī hai dar-e-lailī-e-zar par
dīvār pe ye sar ko paTaktā bhī bahut hai
mahfil meñ to suniye havas-e-jāh pe taqrīr
pahlū meñ yahī ḳhaar khaTaktā bhī bahut hai
'bāqar' jo bhaTaktā hai ma.ānī ke safar meñ
ho sūrat-e-zebā to aTaktā bhī bahut hai