apne jiine ko kyā pūchho sub.h bhī goyā raat rahī
tum bhī rūThe jag bhī rūThā ye bhī vaqt kī baat rahī
pyaar ke khel meñ dil ke mālik ham to sab kuchh kho baiThe
aksar tum se shart lagī hai aksar apnī maat rahī
laakh diye duniyā ne charke laakh lage dil par pahre
husn ne lākhoñ chāleñ badlīñ lekin ishq kī ghaat rahī
tum kyā samjhe tum se chhuT kar haath bhalā ham kyuuñ malte
chashm-o-dil ke shaġhl ko aksar ashkoñ kī barsāt rahī
tum se do do baat kī ḳhātir ham aage baḌh aa.e the
pīchhe pīchhe saath hamāre talḳhī-e-lamhāt rahī
ThanDī ThanDī aah kī ḳhushbū narm o garm ashkoñ ke haar
sach pūchho to apnī saarī ziist kī ye sauġhāt rahī
kaise sub.h ko shaam karūñgā kaise kaTeñge umr ke din
soch rahā huuñ ab jo yahī be-chārgī-e-hālāt rahī