hai dukān-e-shauq bharī huī koī mehrbāñ ho to le ke aa
zar dāġh-e-dil kā savāl hai koī naqd-e-jāñ ho to le ke aa
rahī ye fazā to jiyeñge kyā koī ab binā-e-digar uThā
koī ho zamīñ to nikāl use koī āsmāñ ho to le ke aa
jo ho zauq-e-dard kā ye samāñ to uchhāl de koī āsmāñ
tire dāġh-e-dil mah-o-mehr meñ kahīñ kahkashāñ ho to le ke aa
ye hai shaam mausam-e-dard kī ye hai sub.h chehra-e-zard kī
hai bahār par ġham-e-zindagī koī dil-ḳhizāñ ho to le ke aa
ye safar hai manzil-e-shauq kā koī ham-safar koī ham-rahī
kisī dil-shikasta ko saath le koī sargirāñ ho to le ke aa
yūñhī apne aap se guftugū jo rahī to phir na rahegā tū
koī ham-ḳhayāl talāsh kar koī ham-zabāñ ho to le ke aa
zarā ḳhud se 'bāqar'-e-be-navā tū nikal ki tai ho mo.āmla
inheñ mil ye log haiñ ahl-e-dil ġham-e-rā.egāñ ho to le ke aa