vo terī ināyat kī sazā yaad hai ab tak
aayā thā ḳhudā yaad ḳhudā yaad hai ab tak
chhalkī huī āñkhoñ meñ mai-e-surḳh ke Dore
zulfoñ kī vo lahrā.ī ghaTā yaad hai ab tak
vo jism kī ḳhushbū kī pur-asrār sī lapTeñ
vo mo.ajiza-e-mauj-e-sabā yaad hai ab tak
vo chāñdī ke paanī se dhule āriz-o-ruḳh par
kaifiyyat-e-sad-rañg-e-hinā yaad hai ab tak
thī jis ko ba-har-gām sahāre kī zarūrat
mujh ko vo tirī laġhzish-e-pā yaad hai ab tak
vo bātoñ hī bātoñ meñ bigaḌ jaane ke andāz
vo ruuTh ke manñe kī adā yaad hai ab tak
qurbat kī tamannā ko sameTe hue duurī
vo apnī ḳhudī terī anā yaad hai ab tak
jo sar ba-hama-e-zo.am jhukā thā tire aage
jo dil ki thā rāzī-ba-razā yaad hai ab tak
halke se ishāre pe vo jaañ dene kī ḳhvāhish
vo daur-e-junūñ ahd-e-vafā yaad hai ab tak
kyā tujh ko vafāoñ kī adā yaad rahegī
mujh ko to tirā tarz-e-jafā yaad hai ab tak
ab saḳhtī-e-daurāñ kī kaḌī dhuup hai aur ham
lekin tire kūche kī havā yaad hai ab tak