Sajjad Baqar Rizvi

ahd-e-wafa subuk-hawa rang-e-wafa ke sath sath

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
ahd-e-vafā subuk-havā rañg-e-vafā ke saath saath
rūh-e-suḳhan badal ga.ī tarz-e-adā ke saath saath
sar meñ liye tirī havā āzim-e-shahr-e-dil chalā
nik.hat-e-gul ke ham-rikāb mauj-e-sabā ke saath saath
Dhañg badalte jā.eñge rañg machalte ā.eñge
laġhzish-e-pā kī tarz meñ rañg-e-hinā ke saath saath
ek tire ḳhayāl ne fikr ko par lagā diye
ham bhī havāoñ meñ rahe mauj-e-havā ke saath saath
tā ye safar hayāt kā maqsad-e-zindagī bane
chāhiye markaz-e-nigāh gardish-e-pā ke saath saath
lazzat-e-nā-umīdī-e-shauq bhī mustaqil to ho
tark-e-talab bhī kījiye tark-e-duā ke saath saath
aap hī kah ke sunte haiñ aap hī sun ke hañste haiñ
apnī hī bāzgasht haiñ apnī sadā ke saath saath
haq bhī hai maslahat-e-talab ruḳh pe havā-e-dahr ke
chalte haiñ ab ḳhudā-parast ḳhalq-e-ḳhudā ke saath saath
'bāqar'-e-kam-ayār kī qadr kahāñ thī ziist meñ
uTh ke ḳhamosh chal diyā vo bhī qazā ke saath saath
Top Urdushayar.com