Sajjad Baqar Rizvi

tere taghaful se hai shikayat na apne miTne ka koi gham hai

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
tire taġhāful se hai shikāyat na apne miTne kā koī ġham hai
ye sab ba-zāhir bajā hai lekin ye aañkh kyuuñ aaj merī nam hai
na.ī umañgoñ ko saath le kar ravāñ huuñ phir jāda-e-vafā par
magar hai ehsās-e-nā-murādī ki sahmā sahmā sā har-qadam hai
mirī ummīdoñ ko rauñd kar ab mirī ḳhushī kī hai tum ko parvā
ye kyā nayā ruup tum ne dhārā ye kyā koī nit-nayā bharam hai
tumheñ vo lamhe to yaad hoñge ki jab tumheñ yaad the ye fiqre
tumheñ mire sar kā vāsta hai tumheñ mirī jaan kī qasam hai
vo mehrbāñ kyuuñ hue haiñ mujhe par vo pūchhte haiñ to kah do 'nayyar'
huzūr zinda huuñ jī rahā huuñ baḌī navāzish baḌā karam hai
Top Urdushayar.com