nikhrā ḳhizāñ se rañg-e-bahārāñ hai in dinoñ
vīrāniyoñ se baḌh ke gulistāñ hai in dinoñ
kam-māya mor mā.il-e-parvāz kyuuñ hue
barham bahut mizāj-e-sulaimāñ hai in dinoñ
phir tez ho chalī hai havā-e-fareb-e-ishq
kitnā hasīn ahd hai paimāñ hai in dinoñ
shaiḳh aa gayā bulandī-e-mimbar se farsh par
phir sāzish-e-buland kā imkāñ hai in dinoñ
khīñchī ajiib karb se sāhil ne āh-e-sard
goyā sukūt bar-lab-e-tūfāñ hai in dinoñ
phir baḌh ke ham ne jām-e-tamannā uThā liyā
phir ik na.ī shikast kā armāñ hai in dinoñ
vo daur-e-hādsāt-e-jahāñ hai ki al-amāñ
apnā to bas ḳhudā hī nigahbāñ hai in dinoñ