ho dil-lagī meñ bhī dil kī lagī to achchhā hai
lagā ho kaam se gar aadmī to achchhā hai
añdherī shab meñ ġhanīmat hai apnī tābish-e-dil
hisār-e-jāñ meñ rahe raushnī to achchhā hai
shajar meñ ziist ke hai shāḳh-e-ġham samar-āvar
jo in rutoñ meñ phale shā.irī to achchhā hai
ye ham se Dūbte sūraj ke rañg kahte haiñ
zavāl meñ bhī ho kuchh dilkashī to achchhā hai
sazā zamīr kī chehra bigāḌ detī hai
ḳhud apnī juun meñ ho aadmī to achchhā hai
nahīñ jo lazzat-e-duniyā nashāt-e-ġham hī sahī
mile jo yak-do nafas sarḳhushī to achchhā hai
safar meñ ek se do hoñ to raah āsāñ ho
chale jo saath mire bekasī to achchhā hai
dayār-e-dil meñ mahakte haiñ phuul yādoñ ke
rache base jo abhī zindagī to achchhā hai
chalo jo kuchh nahīñ 'bāqar' matā-e-dard to hai
use sambhāl ke rakkho abhī to achchhā hai