duniyā duniyā sair safar thī shauq kī raah tamām huī
is bastī meñ sub.h huī thī is bastī meñ shaam huī
kaisī lahar hai sard havā kī saare ThiThure baiThe haiñ
kal tak to bas ham chup chup the aaj ḳhamoshī aam huī
mausam badle dil kā sūraj dukh kī ghaTā meñ Duub gayā
pyaar ke lail-o-nahār na pūchho shaam se pahle shaam huī
dard kī barkhā TuuT ke barsī phuuT bahe palkoñ ke band
is bārish meñ vaz-e-vafā kī har koshish nākām huī
halkī sī ik lahar thī ab vo tūfāñ ban kar ubhrī hai
ik be-nām ḳhalish thī pahle ab vo terā naam huī
tere sar par raat kī raanī mahak mahak kar phuul banī
mere sar meñ phuul kī ḳhushbū shorish kā paiġhām huī
chhoTā sā vo dil kā TukḌā kyā kyā fasleñ detā thā
haif qimār-e-ishq ke kāran kaisī zamīñ nīlām huī
pahle to ik saaya ubhrā phir saaya tasvīr banā
ab vo shakl mirī dīvār pe goyā naqsh-e-davām huī
ek amal ke do pahlū āvāz-e-salāsil jazb kī chup
vo bhī mere naam huī thī ye bhī mere naam huī
ahl-e-hunar kī duniyā-talabī shauq-e-shahādat kyā kartī
ik talvār thī arz-e-hunar kī vo bhī zeb-e-niyām huī
'bāqar' tum sayyad-zāde ho sar ko uThā.e phirnā kyā
shauq-o-talab kī hujjat-e-āḳhir āḳhir-kār tamām huī