aksar baiThe tanhā.ī kī zulfeñ ham suljhāte haiñ
ḳhud se ek kahānī kah kar pahroñ jī bahlāte haiñ
dil meñ ik vīrāna le kar gulshan gulshan jaate haiñ
aas lagā kar ham phūloñ se kyā kyā ḳhaak uḌāte haiñ
mīThī mīThī ek kasak hai bhīnī bhīnī ek mahak
dil meñ chhāle phuuT rahe haiñ phuul se khilte jaate haiñ
bādal goyā dil vaale haiñ Thes lagī aur phuuT bahe
tūfāñ bhī ban jaate haiñ ye motī bhī barsāte haiñ
ham bhī haiñ us des ke baasī lekin ham ko pūchhe kaun
vo bhī haiñ jo terī galī ke naam se rutba paate haiñ
kāñTe to phir kāñTe Thahre kis ko hoñge un se gale
lekin ye ma.asūm shagūfe kyā kyā gul ye khilāte haiñ
uljhe uljhe se kuchh fiqre kuchh be-rabtī lafzoñ kī
khul kar baat kahāñ karte haiñ 'bāqar' baat banāte haiñ