Sajjad Baqar Rizvi

jahan mein rah ke bhi hum kab jahan mein rahte hain

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
jahāñ meñ rah ke bhī ham kab jahāñ meñ rahte haiñ
makāñ ko chhoḌ chuke haiñ zamāñ meñ rahte haiñ
tire ḳhayāl meñ apnā guzar nahīñ hotā
jo dil se gir ga.e vahm-o-gumāñ meñ rahte haiñ
chhaTe ġhubār to nām-o-nishāñ hamārā mile
ki ham to gard-e-pas-e-kārvāñ meñ rahte haiñ
jo ḳhaar haiñ vo khaTakte haiñ chashm-e-a.adā meñ
jo phuul haiñ vo dil-e-dostāñ meñ rahte haiñ
shaguft-e-jāñ ke liye khīñch rañj-e-mahrūmī
bahār ke sabhī mausam ḳhizāñ meñ rahte haiñ
nahīñ jo vo to dar-o-bām kī fazā se milo
makīñ ke rañg-e-tabī.at makāñ meñ rahte haiñ
ham apnī aag ko paanī meñ Dhālne ke liye
tilism-kārī-e-āh-o-fuġhāñ meñ rahte haiñ
urūj-e-ishq ye dekhā ki tere dīvāne
zamīñ pe chalte haiñ aur āsmāñ meñ rahte haiñ
kitāb-e-hāl meñ 'bāqar' ko DhūñDte ho abas
sunā hai dil kī kisī dāstāñ meñ rahte haiñ
Top Urdushayar.com