Sajjad Baqar Rizvi

dil hai to muqamat-e-fughan aur bhi honge

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
dil hai to muqāmāt-e-fuġhāñ aur bhī hoñge
sar hai to abhī sañg-e-girāñ aur bhī hoñge
ham se ki hai sāmān-e-farāġhat bhī junūñ bhī
tasvīr ke parde meñ nihāñ aur bhī hoñge
vaañ silsila-e-zulf meñ ḳham baḌhte raheñge
yaañ mashġhla-e-ġham meñ ziyāñ aur bhī hoñge
vaañ bū-e-vafā vahm ko sah chand karegī
yaañ rañg-e-taġhāful pe gumāñ aur bhī hoñge
haañ rasm-e-mudārāt-e-junūñ aur baḌhegī
haañ dushman-e-dil āfat-e-jāñ aur bhī hoñge
haañ vaj.h-e-giraftārī-e-dil sab kise ma.alūm
haañ tarz-e-sitam-hā-e-nihāñ aur bhī hoñge
haañ aur baḌhegī qad-o-gesū kī hikāyat
haañ qissa-e-kotāhī-e-jāñ aur bhī hoñge
bhaḌkegī abhī ātish-e-shauq aur sar-e-dār
haañ sho.ala-labāñ sarv-qadāñ aur bhī hoñge
haañ marhala-e-shauq ke unvāñ haiñ abhī aur
'bāqar' se kuchh āshufta-bayāñ aur bhī hoñge
Top Urdushayar.com