'bāqar' nishān-e-ġham-o-ranj-o-alam to ho
chhoḌo kuchh aur baat karo dard kam to ho
ai kushta-e-ḳhulūs-e-mohabbat ba-kār-bāsh
lab par shaguftagī na sahī aañkh nam to ho
har dam rahe hadīs-e-ma.anī se ham ko kaam
zikr-e-ḳhudā agar nahīñ zikr-e-sanam to ho
kuchh to pia-e-shikast-e-sukūt-e-shab-e-alam
girya sahī fuġhāñ sahī kuchh dam-ba-dam to ho
chashm-e-ġhazāl-o-husn-e-ġhazal kā bayāñ rahe
kuchh aisī baat jo pai-e-taskīn-e-ġham to ho
qānūn-e-bāġh-bāni-e-sahra to likh chuke
unvān-e-zīst bhī kisī sūrat raqam to ho
ik umr tū ne TuuTe pyāloñ pe kaaT dī
'bāqar' piye sharāb koī jām-e-jam to ho