zabāñ ko zā.iqa-e-sher-e-tar nahīñ miltā
baḌhā hai zor zabāñ meñ asar nahīñ miltā
ḳhud apne haal kī koī ḳhabar nahīñ miltī
koī bhī jazba-e-dil-e-mo.atabar nahīñ miltā
sabhī haiñ khoī huī manziloñ kī gard meñ gum
safar bahut hai ma.āl-e-safar nahīñ miltā
jo dasht meñ the vo begāna-e-ḳhalā.iq the
jo shahr meñ the unheñ apnā ghar nahīñ miltā
ajiib taur haiñ ab kār-gāh duniyā ke
ġhurūr-e-ishq javāz-e-hunar nahīñ miltā
bayān-e-shauq-e-safar ahl-e-dard kā hai bahut
magar nishān sar-e-rahguzar nahīñ miltā
farāġh-e-dil nahīñ ab kū-e-gul-e-ruḳhāñ meñ kahīñ
ki zaḳhm koī yahāñ kārgar nahīñ miltā
dayār-e-shauq meñ yā kūcha-e-malāmat meñ
kahīñ bhī 'bāqar'-e-āshufta-sar nahīñ miltā