pūchho mujhe ai ham-nafasāñ kaun huuñ kyā huuñ
yaaro maiñ koī hashr ke maidāñ meñ khaḌā huuñ
tum rañg meñ dekho to huuñ murjhāyā huā phuul
āvāz meñ maiñ TūTte shīshe kī sadā huuñ
merī bhī hikāyat hai vahī dil-zadagī kī
par dard ke unvān meñ mazmūn-e-judā huuñ
kuchh mere hī dam se haiñ bahāroñ ke ma.ānī
maiñ pairav-e-gul gul kī tarah chāk-qabā huuñ
huuñ band ḳhayāloñ meñ ki juuñ phuul meñ ḳhushbū
āzāda-ravī meñ sifat-e-mauj-e-sabā huuñ
ḳhvāhish pe mujhe TuuT ke girnā nahīñ aatā
pyāsā huuñ magar sāhil-e-dariyā pe khaḌā huuñ
shāyad yahī tiryāq bane zahr fanā kā
maiñ talḳhī-e-ayyām kā sat khīñch rahā huuñ
phūloñ kī rifāqat meñ to paa.e haiñ phaphole
kāñToñ se hai ummīd ki maiñ ābla-pā huuñ
din roz-e-qayāmat hai ki kaaTe nahīñ kaTtā
tanhā huuñ ki ḳhud saa.e se bhī apne judā huuñ
raat aa.e to so jā.ūñ añdheroñ se lipaT kar
maiñ sub.h se Dartā huuñ ki sūraj kā Dasā huuñ
katrā ke na chal raah bhaTak jā.egā raahī
maiñ rahrav-e-ummīd kā naqsh-e-kaf-e-pā huuñ
is daur-e-ḳhurāfāt meñ be-qadr huuñ phir bhī
tū jitnā samajhtā hai maiñ kuchh us se sivā huuñ
har rañg har āhañg mire sāmne aajiz
maiñ koh-e-ma.ānī kī bulandī pe khaḌā huuñ
nikleñgī chaTānoñ se mirī fikr kī nahreñ
maiñ lafz ke teshe se unheñ kaaT rahā huuñ
maiñ kīmiyā-gar ḳhud ko jalātā hī rahūñgā
aur tū ye samajhtā hai ki jiine se ḳhafā huuñ
paidā mire naġhmoñ se huiiñ nuur kī lahreñ
maiñ ḳhāliq-e-tahzīb añdheroñ kī ziyā huuñ
'bāqar' mujhe kuchh dād-e-suḳhan kī nahīñ parvā
maiñ shahr-e-ḳhamoshāñ meñ huuñ aur naġhma-sarā huuñ