Sajjad Baqar Rizvi

kya mila ai zindagi qanun-e-fitrat se mujhe

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
kyā milā ai zindagī qānūn-e-fitrat se mujhe
kuchh milā haq bhī to bātil kī visātat se mujhe
mere mālik maiñ takabbur se nahīñ huuñ sar-buland
sar jhukā itnā huī nafrat itā.at se mujhe
maiñ vo āshiq huuñ ki ḳhud hī chūmtā huuñ apne haath
kab bhalā fursat milī apnī raqābat se mujhe
maiñ vo TuuTā aa.ina huuñ aap apne sāmne
jis meñ haul aatā hai ḳhud apnī hī sūrat se mujhe
maiñ vo patthar huuñ ki jis meñ duudh kī nahreñ bhī haiñ
tesha-e-farhād mat Thukrā hiqārat se mujhe
maiñ vo aalam huuñ ki har aalam hai mujh meñ ham-kanār
tū zarā pahchān ḳhud apnī shabāhat se mujhe
ḳhār-zār-e-dasht maiñ huuñ aur tū sarv-e-chaman
tū bhalā kyuuñ nāptā hai apne qāmat se mujhe
haif kis ke aage lafzoñ ke diye raushan kiye
kitnī ummīdeñ haiñ andhoñ kī basārat se mujhe
maiñ kahāñ baiThūñ ki saa.e bhī gurezāñ mujh se haiñ
ab to dīvāreñ bhī taktī haiñ hiqārat se mujhe
maiñ garebāñ-chāk tārīkī meñ kab tak muñh chhupā.ūñ
ab to sharm aane lagī apnī nadāmat se mujhe
aatī haiñ vahshat-sarā-e-dil se āvāzeñ ajab
dekhte haiñ ab to vīrāne bhī hairat se mujhe
ab agar kuchh bhī nahīñ hotā to shor-e-hashr ho
kam nahīñ hai itnā sannāTā qayāmat se mujhe
kaun nāsir merā 'bāqar' kis ko merā intizār
kū-e-gum-nāmī meñ huuñ kyā kaam shohrat se mujhe
Top Urdushayar.com