añdhere din kī safārat ko aa.e haiñ ab ke
haiñ kitnī raushaniyāñ ishtihār meñ shab ke
yahāñ to dekh liye ham ne hausle sab ke
mile na dost na dushman hī apne mansab ke
bas ek baat pe nākāmiyoñ ne gher liyā
zabāñ se aa.e laboñ tak na harf matlab ke
jo lab-kushāda the vo mudda.ī bane lekin
jo dil-kushāda the vo kaam aa ga.e sab ke
ik āh-e-ḳhushk hī apne nasīb meñ niklī
bahut hī shor sune jazba-e-labā-lab ke
judā.iyāñ to muqaddar haiñ lekin ik ġham-e-hijr
ajiib phuul se sāthī bikhar ga.e ab ke
bhaTak rahā hai dayār-e-ḳhirad meñ kyuuñ ġham-e-dil
gharoñ ko lauT chuke saare bā-vafā kab ke
zamīn-e-saḳht meñ lafzoñ ke gul khilā.e haiñ
ġhazal kahī to hue qaa.il apne kartab ke
hazār us ne bhī chakkar diye magar 'bāqar'
rahe na ham bhī kabhī āsmān se dab ke