Sajjad Baqar Rizvi

fareb tha aql-o-agahi ka ki meri fikr-o-nazar ka dhoka

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
fareb thā aql-o-āgahī kā ki merī fikr-o-nazar kā dhokā
jo āḳhir-e-shab kī chāñdnī par huā thā mujh ko sahar kā dhokā
maiñ bāġhbānoñ kī sāzishoñ ko siyāsatoñ ko samajh chukā huuñ
ḳhizāñ kā khā kar fareb-e-paiham uThā ke barq-o-sharar kā dhokā
shu.ūr-e-puḳhta kī ḳhair ho jis ne zindagī ko bachā liyā hai
tirī nigāh-e-karam-numā ne diyā to thā umr-bhar kā dhokā
duāoñ ko haath uThā rahā huuñ ye ḳhud-farebī mulāhiza ho
fareb-e-taskīn kā burā ho maiñ khā rahā huuñ asar kā dhokā
dikhā.ī detī hai masḳh 'nayyar' hasīn sūrat bhī zindagī kī
qusūr hai ā.īne kā is meñ ki hai ye ā.īna-gar kā dhokā
Top Urdushayar.com