Sajjad Baqar Rizvi

haal-e-dil kuchh jo sar-e-bazm kaha hai maine

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
hāl-e-dil kuchh jo sar-e-bazm kahā hai maiñ ne
vo ye samjhe haiñ ki ilzām diyā hai maiñ ne
muñh to pherā hai kabhī ye bhī to sochā hotā
tumheñ chāhā hai tumheñ pyaar kiyā hai maiñ ne
lā sakoge sar-e-peshānī vo tābānī-o-nūr
tumheñ ash.ār meñ jo baḳhsh diyā hai maiñ ne
kyā kahīñ siikh liye haiñ na.e andāz-e-fareb
bāñdhte ho na.e paimāñ ye sunā hai maiñ ne
tum ne duniyā kī tarah aañkh firā.ī hai to kyā
ye bhī ik jabr isī dil pe sahā hai maiñ ne
zabt kī daad na dī koī zamāne ne mujhe
ḳhuun kā ghūñT ba-har-hāl piyā hai maiñ ne
ye ġham-e-talḳhī-e-daurāñ ye mohabbat kā junūñ
ḳhuub ye dard bhī ik mol liyā hai maiñ ne
Top Urdushayar.com