zaḳhm khule paḌte haiñ dil ke mausam hai ye bahāroñ kā
lāla-o-gul kī baat nikālo zikr karo añgāroñ kā
ham dukhiyāre un ke sahāre chār-qadam hī chal leñge
chāñd kā āḳhir ham kyā leñge kyā bigḌegā tāroñ kā
ek tabassum ik nigah ḳhāmosh takallum vo bhī nahīñ
kyā hogā jiine kā sahārā ham se dil-afgāroñ kā
ham to Thahre ġham ke maare jiine ko jī hī leñge
kyā hogā dar-chashm-e-subū-bar-dosh chaman-bardāroñ kā
dil hai lazzat-e-ġham kā ḳhūgar sunte hī chauñk uThtā hai
zikr koī jab chhiḌ jaatā hai un nāzuk talvāroñ kā
jashn-e-tarab ke unvāñ kitne phaile kitne aam hue
tum hī kaho kuchh apnī biitī qissa dard ke māroñ kā
tūfānī hai ġham kī kahānī phir vo kahāñ mauzū-e-ġhazal
baat banātunna.ash kī chheḌo zikr karo mah-pāroñ kā