Sajjad Baqar Rizvi

wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
vo ghir ke aayā ghaTāoñ kī tīrgī kī tarah
baras paḌā mire āñgan meñ chāñdnī kī tarah
vo jis ke vāste ik harf-e-mudda.ā na milā
utar gayā mire siine meñ āgahī kī tarah
nazar bachā ke jise dekhte the mere harīf
samā gayā mirī āñkhoñ meñ raushnī kī tarah
havā pe jis ke qadam haiñ misāl-e-nig.hat-e-gul
asiir hai mire sheroñ meñ naġhmagī kī tarah
mirā ġhazāl ki vahshat thī jis ko saa.e se
lipaT gayā mire siine se aadmī kī tarah
mirī nigāh ko tū apne ā.īne meñ bhī dekh
jamī hai tere laboñ par shaguftagī kī tarah
kahāñ ke sher kahāñ kī ġhazal ye zehn kī rau
bikhar ga.ī mire kāġhaz pe shā.irī kī tarah
zabāñ khulī hai to dil phaT paḌā hai sūrat-e-gul
vagarna ham bhī the ġham aap meñ kalī kī tarah
lahad meñ zehn kī madfūn paikar-e-auhām
mirī ragoñ meñ machalte haiñ zindagī kī tarah
ye dhūp-chhāñv hai duniyā kī ḳhud mirā saaya
mire qarīb se guzrā hai ajnabī kī tarah
ġham-e-zamāna se dil-tañg the bahut 'bāqar'
simaT ke rah ga.e ehsās-e-bekasī kī tarah
Top Urdushayar.com