Sajjad Baqar Rizvi

mere safar ki haden KHatm ab kahan hongi

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
mire safar kī hadeñ ḳhatm ab kahāñ hoñgī
ki manzileñ bhī to āḳhir ravāñ davāñ hoñgī
ye fāsle jo abhī tai hue haiñ kahte haiñ
ye qurbateñ tire ehsās par girāñ hoñgī
jo din ko rañg lageñ aur shab ko phuul baneñ
vo sūrateñ kahīñ hoñgī magar kahāñ hoñgī
vo haath ruuTh ga.e aur vo saath chhūT ga.e
kise ḳhabar thī ki itnī judā.iyāñ hoñgī
sunā to thā magar is ramz ko samajhte na the
ki terī ḳhush-nigahī meñ bhī talḳhiyāñ hoñgī
talāsh thī gohr-e-dard kī na jānte the
ki bahr-e-dil meñ vo gahrā.iyāñ kahāñ hoñgī
vo aaj anjuman-e-ām ban ke jāgeñ haiñ
vo ḳhalvateñ jo kabhī terī rāz-dāñ hoñgī
hamāre dam se hai raushan dayār-e-fikr-o-suḳhan
hamāre baad ye galiyāñ dhuāñ dhuāñ hoñgī
ye ahd vo hai ki merī vafā ke qissoñ meñ
tirī jafā kī hikāyāt bhī bayāñ hoñgī
chale chalo ki dayār-e-ḳhirad ke us jānib
sukūñ kī chhāñv meñ ḳhvāboñ kī bastiyāñ hoñgī
tū rāh-e-shauq meñ tanhā nahīñ Thahar 'bāqar'
ki tere saath abhī jag-hañsā.iyāñ hoñgī
Top Urdushayar.com