zahr in ke haiñ mire dekhe hue bhāle hue
ye to sab apne haiñ zer-e-āstīñ paale hue
un ke bhī mausam haiñ un ke bhī nikal ā.eñge Dañk
be-zarar se ab jo baiThe haiñ sipar Daale hue
chaak sī kar jo hare mausam meñ iThlāte phire
ḳhushk-sālī meñ vo tere chāhne vaale hue
baḌh ke jo manzar dikhāte the kabhī sailāb kā
ghaT ke vo dariyā zamīñ par reñgte naale hue
kaise kaise nā-gahānī hādse likkhe ga.e
yaad ke pahle varaq kis kis tarah kaale hue
kuchh udāsī ban ke phaile us ke ruḳhsāroñ ke gird
kuchh siyah bādal ke TukḌe chāñd ke haale hue
pahle ro lete the ab galiyoñ ke pheroñ kā hai shaġhl
pahle jo aañsū the ab vo paañv ke chhāle hue
chhalkī har mauj-e-badan se husn kī dariyā-dilī
bul-havas kam-zarf do chullū meñ matvāle hue
khul ga.e to bū-e-ma.anī har taraf uḌtī phirī
band ho kar lafz 'bāqar' nutq par taale hue