Sajjad Baqar Rizvi

ghirte baadal mein tanhai kaisi lagti hai

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
ghirte bādal meñ tanhā.ī kaisī lagtī hai
milan kā mausam aur judā.ī kaisī lagtī hai
suune man ke tāroñ se jab bāteñ hotī hoñ
duuje āñgan kī shahnā.ī kaisī lagtī hai
dil kī choT ubhar aa.e aur zaḳhm hare ho jaa.eñ
yādoñ kī chaltī purvā.ī kaisī lagtī hai
tum ko shahr-e-ḳhayāl meñ rahnā kaisā lagtā hai
vo bastī jo dil ne basā.ī kaisī lagtī hai
chaḌhte ruup kī sūraj devtā aur bhī maan baḌhā.eñ
dhundlī āñkhoñ kī bīnā.ī kaisī lagtī hai
jag biite jab jagmag ye dil us kī jot se thā
ab jo vo sūrat phir yaad aa.ī kaisī lagtī hai
dil to apnā bhar bhar aa.e niyyat nahīñ bhare
umr kā hāsil aisī kamā.ī kaisī lagtī hai
bachpan aur javānī būḌhī umr ke dar pe haiñ
tīnoñ zamānoñ kī yakjā.ī kaisī lagtī hai
'bāqar' saarī umr guzārī kū-e-malāmat meñ
āḳhir umr kī ye rusvā.ī kaisī lagtī hai
Top Urdushayar.com