sar se junūn-e-ishq kā saudā nikāliye
yā apne dil se ḳhvāhish-e-duniyā nikāliye
yā haath bāñdh lījiye duniyā ke sāmne
yā haath khol kar yad-e-baizā nikāliye
yā mom ban ke ḳhud ko havādis meñ Dhāliye
yā sañg se sharār-e-tamannā nikāliye
yā pyaas apnī abr-e-karam se bujhā.iye
yā ḳhud pahāḌ kaaT ke dariyā nikāliye
ye kyā ki saarī umr ba-tarz-e-janābe-shaiḳh
pagḌī se apnī ilm kā turra nikāliye
tahqīq meñ to baal kī bhī khaal khīñchiye
taḳhlīq meñ pahāḌ se chuhā nikāliye
tāqat ke aage garba-e-miskīñ kī myā.un myā.un
nā-tāqatī ko dekh ke panja nikāliye
nāhaq kī vaah vaah meñ taqrīr-e-dil-pazīr
haq ke ḳhilāf aql kā shosha nikāliye
bebāk hai jo 'bāqar'-e-āshufta-sar bahut
kuchh us kī sarzanish kā bahāna nikāliye