tujhe maiñ milūñ to kahāñ milūñ mirā tujh se rabt muhāl hai
tirī bazm bazm-e-nashāt hai mirī bazm bazm-e-ḳhayāl hai
tirā dil nahīñ tire haath meñ mujhe dekh maiñ huuñ girafta-dil
mirā jabr merī najāt hai ye mire hunar kā kamāl hai
na tū ham-zabāñ na tū ham-zamāñ mirā tujh se kaisā mo.āmla
mirā ahd ahd-e-kamāl-e-ġham tirā ahd ahd-e-zavāl hai
maiñ huuñ kam-talab tū hai kam-nazar maiñ navā-e-dil tū havā-e-dil
mirī dastaras meñ haiñ kul zamāñ tū asīr-e-lamha-e-hāl hai
vo hai naqd-e-zar tirī aarzū ye hai naqd-e-dil mirī aarzū
tirā naqd rizq-e-harām hai mirā naqd rizq-e-halāl hai
tirī justujū mirī gumrahī tirī intihā mirī ibtidā
tirī ziist terā javāb hai mirī ziist merā savāl hai
tujhe kārobār ko din milā mujhe kāhish-e-shab-e-ġham milī
mujhe ḳhvāhish-e-ġham-e-āgahī tujhe ḳhvāhish-e-zar-o-māl hai
mujhe sun tarāna-e-dard meñ mujhe dekh chehra-e-zard meñ
mujhe DhūñD ġham kī panāh meñ ki vo merā shāmil-e-hāl hai
maiñ huuñ 'bāqar' aise maqām par nahīñ kam-nazar kā jahāñ guzar
ye ajiib manzil-e-shauq hai ki na hijr hai na visāl hai