use maiñ talāsh kahāñ karūñ vo uruuj hai maiñ zavāl huuñ
ġham-e-mustaqil mirā hal kahāñ vo javāb hai maiñ savāl huuñ
na.e mausamoñ kī huuñ aarzū na.ī rif.atoñ kī huuñ justujū
mujhe toḌ ḳhvāb-e-jahān-e-nau maiñ tilism-e-bāb-e-ḳhayāl huuñ
mire ā.īne kī kudūrateñ mirī apnī zaat kī gard haiñ
mujhe kab malāl kisī se ho ki maiñ aap apnā ma.aal huuñ
mirī bandagī ke ye mashġhale ki ḳhudā.ī se bhī muāmle
kabhī ḳhud hī dst-e-karīm huuñ kabhī ḳhud hī dast-e-savāl huuñ
ye buland-o-past-e-jahān-e-dil kahīñ hausle kahīñ marhale
kabhī huuñ maiñ auj-e-ḳhayāl par kabhī zo.af-e-jāñ se niDhāl huuñ
kabhī khil ga.ī jo koī kalī to payām-e-shauq galī galī
kabhī aa ga.ī jo havā-e-ġham to maiñ gard-e-bād-e-malāl huuñ
kabhī mujh se soz-e-hayāt le kabhī mujh se sāz-e-hayāt sun
maiñ fazā-e-qarya-e-hijr huuñ maiñ havā-e-shahr-e-visāl huuñ
kabhī maiñ asīr-e-makāñ huā kabhī māvarā-e-zamāñ huā
kabhī aaj meñ kabhī kal meñ huuñ maiñ ajiib sūrat-e-hāl huuñ
koī apne aap se hai mafar na hoñ apnī zaat se bā-ḳhabar
maiñ talāsh apnī kahāñ karūñ ki maiñ aap apnī misāl huuñ
maiñ huuñ apnī zaat meñ ḳhud chaman maiñ huuñ 'bāqar' apne numū kā fan
kabhī ġhunchagī meñ girafta-dil kabhī josh-e-jāñ se nihāñ huuñ