vo māh-vash hai zamīñ par nazar jhukā.e hue
sitāre baiThe raheñ mahfileñ sajā.e hue
ga.e the kitnī umañgoñ ko le ke siine meñ
jo terī bazm se uTThe to sar jhukā.e hue
hameñ bhī pyaar se dekho ki ham haiñ ḳhasta-jigar
ġham-e-zamāna ke maare hue satā.e hue
hameñ to ek nahīñ kushta-e-ma.āl-e-karam
kuchh aur bhī haiñ fareb-e-nigāh khaa.e hue
ḳhayāl-e-dūrī-e-manzil thakā bhī detā hai
chale chalo abhī aage qadam baḌhā.e hue
kabhī jo rahte the sar-mast-e-nashtar-e-ġham-e-dost
vo jā rahe ġham-e-jāñ se muñh kī khaa.e hue