Sajjad Baqar Rizvi

un se wo rasm-e-mulaqat chali jati hai

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
un se vo rasm-e-mulāqāt chalī jaatī hai
ye bhī sau baat meñ ik baat chalī jaatī hai
vahī be-mehrī-e-duniyā kī shikāyat hai jo thī
vahī be-kaifī-e-hālāt chalī jaatī hai
dil se kis tarah haTe sāya-e-vahshat kī abhī
in nigāhoñ kī karāmāt chalī jaatī hai
merī āshufta-mizājī pe vo hañs dete haiñ
yuuñ bhī ik tarz-e-mudārāt chalī jaatī hai
jab se is bazm kā dastūr banī mohr-labī
rasm-e-īhām-o-ishārāt chalī jaatī hai
naam marne pe bhī hai un ke vafādāroñ meñ
kaam ruk jaa.e magar baat chalī jaatī hai
hotā aayā hai ġham-e-zīst ibārat un se
garmī-e-bazm-e-ḳhayālāt chalī jaatī hai
aah bhar lījiye ro lījiye kah lījiye sher
vo girāñ-bārī-e-jazbāt chalī jaatī hai
ham kahāñ bazm-e-gah-e-nāz kahāñ phir ye ġhazal
arz-e-ahvāl-e-shikāyāt chalī jaatī hai
Top Urdushayar.com