Sajjad Baqar Rizvi

numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
numāyāñ aur bhī ruḳh terī be-ruḳhī meñ rahe
supurdagī ke bhī pahlū kashīdgī meñ rahe
nazar uThī to uThā shor ik qayāmat kā
na jaane kaise ye hañgāme ḳhāmushī meñ rahe
havā-e-shahr-e-ġharībī kī kaifiyat thī ajiib
nashe meñ rah ke bhī ham apne aap hī meñ rahe
pukārte rahe kyā kyā na dil ke vīrāne
ham aise shahr meñ uljhe the shahr hī meñ rahe
hisār-e-vahshat-e-dil se nikal to aa.e magar
tamām-umr ajab sehr-e-āgahī meñ rahe
mirī vafā kī haqīqat ġhubār-e-dasht-e-talab
mirī vafā ke fasāne tirī galī meñ rahe
kabhī to pahuñchegī manzil pe sar-bulandī-e-shauq
is āsare pe maqāmāt-e-bandagī meñ rahe
unhīñ se ubhrī haiñ kitne ġhamoñ kī tasvīreñ
vo saa.e jo mirī āñkhoñ kī raushnī meñ rahe
hameñ milā thā sharaf kā.enāt par 'bāqar'
hameñ kalī kī tirā dil giraftagī meñ rahe
Top Urdushayar.com