dil dasht hai vafūr-e-tamannā ġhubār hai
ai abr-e-nau-umīd tirā intizār hai
phir ustuvār rābta-e-sañg-o-sar huā
phir in dinoñ junūñ ko havā sāzgār hai
jāñ-dādgī kī rasm jagāo ki āj-kal
phir multafit havā-e-sar-e-rah-guzār hai
har nik.hat-e-ḳhayāl asīr-e-havā huī
har mauj-e-nūr kam-nigahī kī shikār hai
raushan-zamīr tīra-nasībī ḳhudā kī shaan
itnī sī ab hikāyat lail-o-nahār hai
haañ ai havā-e-dasht idhar shahr meñ bhī aa
mahbūs kab se nik.hat-e-gesu-e-yār hai
kahiye to kis tarah jo na kahiye to kis tarah
arz-e-suḳhan meñ lafz bhī be-e'tibār hai
lab-basta dil-e-kushāda chaman meñ guzāriye
ye ġhunchagī kī rasm guloñ kā shi.ār hai
'bāqar' ġhazal meñ ramz-o-kināya bajā magar
ye ehtiyāt harf-e-tamannā pe baar hai