Sajjad Baqar Rizvi

ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai

Sajjad Baqar Rizvi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1993
ba-qadr-e-hausla koī kahīñ koī kahīñ tak hai
safar meñ rāh-o-manzil kā ta.ayyun bhī yahīñ tak hai
na ho inkār to isbāt kā pahlū bhī kyuuñ nikle
mire isrār meñ tāqat faqat terī nahīñ tak hai
udhar vo baat ḳhushbū kī tarah uḌtī thī galiyoñ meñ
idhar maiñ ye samajhtā thā ki mere ham-nashīñ tak hai
nahīñ kotāh-dastī kā gila itnā ġhanīmat hai
pahuñch hāthoñ kī apne apne jeb-o-āstīñ tak hai
siyāhī dil kī phūTegī to phir nas nas se phūTegī
ġhulāmo ye na samjho dāġh-e-rusvā.ī jabīñ tak hai
phir aage marhale tai ho raheñge himmat-e-dil se
jahāñ tak raushnī hai ḳhauf-e-tārīkī vahīñ tak hai
ilāhī bārish-e-abr-e-karam ho fasl duunī ho
ki 'bāqar' kī to aamad bas isī dil kī zamīñ tak hai
Top Urdushayar.com